kis lamhe hum tera dhyan nahin karte han koi ahd-o-paiman nahin karte har dam teri mala japte hain lekin galiyon kuchon mein elan nahin karte apni kahani dil mein chhupa kar rakhte hain duniya walon ko hairan nahin karte ek kamre ko band rakha hai barson se wahan kisi ko hum mehman nahin karte ek jaisa dukh mil kar banta karte hain ek duje par hum ehsan nahin karte kuchh raste mushkil hi achchhe lagte hain kuchh raston ko hum aasan nahin karte raste mein jo milta hai mil lete hain achchhe bure ki ab pahchan nahin karte ji karta hai bhaalu bandar nam rakhen kaun si wahshat hum insan nahin karte 'alam' us ke phul to kab ke sukh gae kyun taza apna gul-dan nahin karte