mar gae ai wah un ki naz-bardari mein hum dil ke hathon se pade kaisi giraftari mein hum sab pe raushan hai hamari sozish-e-dil bazm mein shama san jalte hain apni garm-bazari mein hum yaad mein hai tere dam ki aamad-o-shud pur-khayal be-khabar sab se hain is dam ki khabardari mein hum jab hansaya gardish-e-gardun ne hum ko shakl-e-gul misl-e-shabnam hain hamesha girya o zari mein hum chashm o dil bina hai apne roz o shab ai marduman garche sote hain ba-zahir par hain bedari mein hum dosh par rakht-e-safar bandhe hai kya ghuncha saba dekhte hain sab ko yan jaise ki tayyari mein hum kab talak be-did se ya rab rakhen chashm-e-wafa lag rahe hain aaj kal to dil ki gham-khwari mein hum dekh kar aaina kya kahta hai yaro ab wo shokh mah se sad chand behtar hain ada-dari mein hum ai 'zafar' likh tu ghazal bahr o qawafi pher kar khama-e-dur-rez se hain ab guhar-bari mein hum