kis liye kije bazm-arai pur-sukun ho gai hai tanhai phir khamoshi ne saz chheda hai phir khayalat ne li angdai yun sukun-ashna hue lamhe bund mein jaise aae gahrai ek se ek waqia hua lekin na gai tere gham ki yaktai koi shikwa na gham na koi yaad baithe baithe bas aankh bhar aai dhalki shanon se har yaqin ki qaba zindagi le rahi hai angdai