tere suluk-e-taghaful se ho ke saudai chala hun main to kuchh aage chali hai ruswai naya naya hai abhi jazba-e-khud-arai khuda kare ki na aae khayal-e-yaktai tabiaton mein bada ikhtilaf hota hai mujhe to arz-e-tamanna pe sharm si aai hayat-e-ishq ke ye pech o kham nasheb o faraaz inhin ka nam hai shayad kisi ki angdai jo aaj zikr chala aastin ke sanpon ka to mujh ko apne kai doston ki yaad aai tumhaari yaad ko rah rah ke gher lati hai mah o nujum ki tabish gulon ki ranai talab ki maut samajhiye rah-e-talab mein qayam bada ghalat hai taqaza-e-abla-pai tamam umr mein pahuncha hun is natije par nashat-e-bazm se behtar hai dard-e-tanhai wo ibtida-e-mohabbat ki guftugu 'mahshar' baja raha ho koi dur jaise shahnai