kis liye sab ko ajab bojh laga sar apna le ke mahfil mein jo pahuncha main kata sar apna hath lapke to bahut pahunche na gardan tak bhi na magar ahl-e-nazar the na jhuka sar apna rasm phir rasm hai thahra hai lahu hi jo suhag chamak ai tegh-e-hawa le ye raha sar apna sab hawa bhul gai sarkashi-o-sha-zori ek zara dosh-e-hawa par jo uda sar apna hum ne thokar bhi agar khai to ghar aa kar hi apni dahliz hi se ja ke laga sar apna bas ki ab dekhna hai apne lahu se rishta khwab mein dekhta hun tan se juda sar apna kam se kam bhul gae war to shamshiron ko 'talkh' jaane do bhula do jo gaya sar apna