aur bazar se kya le jaun pahli barish ka maza le jaun kuchh to saughat dun ghar walon ko raat aankhon mein saja le jaun ghar mein saman to ho dilchaspi ka hadisa koi utha le jaun ek diya der se jalta hoga sath thodi si hawa le jaun kyun bhatakta hun ghalat rahon mein khwab mein us ka pata le jaun roz kahta hai hawa ka jhonka aa tujhe dur uda le jaun aaj phir mujh se kaha dariya ne kya irada hai baha le jaun ghar se jata hun to kaam aaenge ek do ashk bacha le jaun jeb mein kuchh to rahega 'alwi' lao tum sab ki dua le jaun