kis munh se kahen gunah kya hain tauba hai ru-siyah kya hain allah hai afw karne wala main kya hun mere gunah kya hain ai dost tere gada ke aage kuchh bhi nahin baadshah kya hain tum sa koi bad-chalan na hoga hai hai aashiq tabah kya hain gori gori hai un ki surat us par gesu-e-siyah kya hain chakkar main hain shaikh-o-gabr dono apne liye khud tabah kya hain dekhe koi haal-e-ahl-e-duniya ye log bhi wah wah kya hain utren un se muqable ko aflak pe mehr-o-mah kya hain dhumen tegh-e-nigah ki hain tewar ai kaj-kulah kya hain shahid hain tere sitam ke lakhon do-chaar us ke gawah kya hain allah re un buton ki aankhen kafir jadu nigah kya hain kat jaegi umr-e-chand-roza fikren sham-o-pagah kya hain un ka to jawab hi nahin hai masha-allah wah kya hain ai dil ulfat ke mahkame mein qazi kya hai gawah kya hain dil hai to ziyaada us se honge ye nala-o-ashk-o-ah kya hain pahlu mein nigar hath mein jam is waqt to baadshah kya hain un ki aamad jo ai 'saba' hai sab matlab ru-ba-rah kya hain