kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar main ne apne taj-mahal mein chunwae hain kale patthar jo hiron ke rup mein dar dar apne aansu bant rahe hain un fan-karon par phenkenge kab tak duniya wale patthar jaane kaun the jin ko jiwan-rut se bhik mili rangon ki apni suni jholi mein to phulon ne bhi dale patthar maqtal ki be-rahm fasilen sar tak aa pahunchi hain aakhir mere jism ki diwaron se ab to koi hata le patthar pyar tumhaara jhuta hai aur jhuta hai bhagwan bhi shayad warna kuchh to kahte budhe mandir ke rakhwale patthar apne apne nam ke ujle shish-mahal ki khair manao har shohrat ki mutthi mein hain ruswai ke kale patthar ai dhanwano tum kya jaano zauq-e-ibaadat qadr-e-parstish tum sab hire moti le lo kar do mere hawale patthar 'prem' is yug ki sal-girah par aur bhala kya tohfa dete chand ki dilkash dharti se bhi hum ne dhundh nikale patthar