na koi dost na dushman ajib duniya hai ye zindagi hai ki tanhaiyon ka sahra hai badalte rahte hain har mod par safar ke rafiq gham-e-hayat magar sath sath chalta hai ye shahr-e-dard hai logon sambhal sambhal ke chalo har ek zarre mein aabaad dil ki duniya hai banega ye naya aasman-e-fikr-o-nazar ghubar-e-rah jo pamal ho ke uttha hai jo dekhiye to bagula hai reg-e-awara jo sochiye to yahi aabru-e-sahra hai kuchh aaj rang hai maila faza ke aanchal ka zarur aadam-e-khaki idhar se guzra hai 'sarosh' wadi-e-ghurbat se be-khabar guzro tumhaare sath mohabbat ka narm saya hai