kis ne dekhi hai bahaaron mein khizan mere siwa kaun kar sakta hai ye qissa bayan mere siwa kis ko malum hai sahra ki hawaon ka mizaj ret par kaun banaega makan mere siwa sab faqiran-e-shab-e-hijr watan chhod gae kaun ab dega bayaban mein azan mere siwa thapkiyan kaun sar-e-dasht mujhe deta hai kya koi aur bhi rahta hai yahan mere siwa ek ek zakhm mere ashk se ye kahte rahe ab koi aur na ho naqsh-ayan mere siwa is nae shahr ki is bhid mein ai hazrat-e-ishq jaanta kaun hai ab tum ko miyan mere siwa