dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar dub gaya jaise kisi bimar ke rukh par rang ubhar kar dub gaya jhuti aas ke pankh laga kar sat samundar ud aaya tere qurb ki khushbu pa kar main sahil par dub gaya yaad ki ai saili diwaro ab ke aisa lagta hai haal ki tughyani mein jaise mazi ka ghar dub gaya wo to apne qad se ziyaada sar-afaraaz-e-bazm hua main gumnam zamana apni zat ke andar dub gaya us ke badan ke simin-pan ka ek tasawwur tha ki achanak lams ne badh kar thokar khai chand chamak kar dub gaya