kis ne is dasht mein ghar-bar luTana hai miyan

kis ne is dasht mein ghar-bar lutana hai miyan
aise virane ko hum ne hi sajaana hai miyan

aap se kis ne kaha aap bhi barish mangen
aap ka kaam faqat aag lagana hai miyan

in bhadakte hue jazbaat pe qabu rakhiye
hum ne stage pe kuchh aur dikhana hai miyan

dosti hoti to phir sab ko batate phirte
ye mohabbat hai ise sab se chhupana hai miyan

na munafiq ho na aati hai khushamad tum ko
tum ne kya khak yahan nam kamana hai miyan

aap se kaun kare bahs sar-e-bazm-e-raqib
aap ne hum pe hi ilzam lagana hai miyan

aao sar rakh lo bada chain milega 'faisal'
ye tawaif ka nahin yar ka shana hai miyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close