kis ne mohabbaton ko adawat mein rakh diya dil ki bujhaaraton ko safarat mein rakh diya chehre ke sab nuqush zamane ke sath the ek dil tha so tumhaari ibaadat mein rakh diya apna wajud kho ke tumhein pa liya to phir kyon apni chahaton ko nadamat mein rakh diya aankhen ganwa ke puri tarah mutmain na thi ek sar bacha tha wo bhi mohabbat mein rakh diya ye sard aag mera badan chatti rahe main ne to ishq dil ki hararat mein rakh diya rone ka ye hunar bhi na tere liye kiya talwar ko bhi teri himayat mein rakh diya