kis ne sang-e-khamoshi phenka bhare-bazar par ek sukut-e-marg tari hai dar-o-diwar par tu ne apni zulf ke sae mein afsane kahe mujh ko zanjiren mili hain jurat-e-izhaar par shakh-e-uriyan par khila ek phul is andaz se jis tarah taza lahu chamke nai talwar par sang-dil ahbab ke daman mein ruswai ke phul main ne dekha hai naya manzar faraaz-e-dar par ab koi tohmat bhi wajh-e-karb-e-ruswai nahin zindagi ek umr se chup hai tere israr par main sar-e-maqtal hadis-e-zindagi kahta raha ungliyan uthti rahin 'mohsin' mere kirdar par