tere mahal mein kaise basar ho is ki to girai bahut hai main ghar ki angnai mein khush hun mere liye angnai bahut hai apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi mahfil mein dil kyun kar bahle mahfil mein tanhai bahut hai gharq-e-dariya hona yaro 'ghaalib' ne kyun chaha aakhir aisi marg-e-la-waris mein socho to ruswai bahut hai dushman se ghabrana abas hai ghair se darna bhi la-hasil kul ka ghatak ghar ka bhedi ek wibhishan bhai bahut hai barson mein ek jogi lauta jangal mein phir jot jagai kahne laga ai bhole shankar shahron mein mahngai bahut hai apni dharti hi ke dukh-sukh hum in sheron mein kahte hain hum ko himala se kya matlab us ki to unchai bahut hai pursish-e-gham ko khud nahin aae un ka magar paigham to aaya hijr ki rut mein jaan-e-hazin ko dur ki ye shahnai bahut hai dil ki kitaben padh nahin sakta lekin chehre padh leta hun dhalti umr ki dhup mein 'sahir' itni bhi binai bahut hai