kis qadar dilruba-numa hai dil khana-e-ghair ho gaya hai dil har ghadi kyun na zalzale mein rahe mashhad-e-hasrat-o-wafa hai dil maut bhi sahal kuchh nahin apni kis liye taqat-azma hai dil maslahat is mein ho na koi kash dushman-e-jaan ho gaya hai dil sab se lag chalne ki hui hai kho kis qadar sarf-e-ashna hai dil shaikh-e-sanan ka yaad hai qissa sakht kafir buri bala hai dil apni haalat mein mubtala hun aap dil-ruba jaan hai jaan-ruba hai dil balbe wamandgi ki tez rawi jaise jaane pe aa gaya hai dil kis jafa-kar ki wafa hai jaan kis sitam-kash ka muddaa hai dil teri ulfat ka naqd dagh-e-jigar meri hasrat ka khun-baha hai dil kahiye kis se laga liya lagga ai 'qalaq' kyun ke lag chala hai dil