main pa saka na kabhi is khalish se chhutkara wo mujh se jit bhi sakta tha jaane kyun haara baras ke khul gae aansu nithar gai hai faza chamak raha hai sar-e-sham dard ka tara kisi ki aankh se tapka tha ek amanat hai meri hatheli pe rakkha hua ye angara jo par samete to ek shakh bhi nahin pai khule the par to mera aasman tha sara wo sanp chhod de dasna ye main bhi kahta hun magar na chhodenge log us ko gar na phunkara