kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka aag phulon mein lagi ghar jal gaya sayyaad ka sahl samjha tha satana bulbul-e-nashad ka chaar nalon mein kaleja hil gaya sayyaad ka zer-e-khanjar main tadapta hun faqat is waste khun mera ud ke daman-gir ho jallad ka dar-pae-azar pahle aasman itna na tha pa gaya hai kuchh ishaara us sitam-ijad ka ab to wo bhi lot hai bulbul teri aawaz par barak-allah khub phansa tu ne dil sayyaad ka us ke sadqe jaiye jis ne tujhe paida kiya shakl di hur-o-pari ki dil diya jallad ka wasl mein kaisa adab ai jaan gustakhi muaf aaj lena hai mujhe tum se ewaz bedad ka aap bhi khanjar-ba-kaf hain main bhi hun sina-sipar rah na jae aaj koi hausla bedad ka mujh ko hai aisa chaman darkar jis mein ai 'jalil' khauf gulchin ka na ho khatka na ho sayyaad ka