kis rah pe hain rawan-dawan hum jaenge khabar nahin kahan hum ek bar fareb kha gae the ab tak hain kisi se bad-guman hum yun teri nigah se gire hain goya the mata-e-raegan hum raston ki khabar na manzilon ki kya jaaniye aa gae kahan hum dil mein thin kuchh aisi hasraten bhi tujh se jo na kar sake yahan hum guzri hai qafas mein umr lekin bhule nahin yaad aashiyan hum har haal khushi unhi ki chahi karte rahe pas-e-dostan hum pesh aae na-jaane kya safar mein ghar se to chale hain shadman hum ek manzil-e-be-nishan ki dhun mein 'shafqat' na phire kahan kahan hum