talkhaba-e-gham khanda-jabin ho ke piye ja mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja mayus na ho be-rukhi-e-chashm-e-jahan se shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi taqdir-e-khirad-soz ko ilzam diye ja auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi padega be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar' pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja