kis rang mein hain ahl-e-wafa us se na kahna kyun phul hain khushbu se juda us se na kahna dubi nahin muddat se jo nazron ke bhanwar mein is aankh ka jo haal hua us se na kahna yaadon ke dar-o-baam pe ek nam wahi nam kya jaane kai bar likha us se na kahna lipti thi darichon se hasin chandni kaise kya kya mujhe taron ne kaha us se na kahna bujhti hi nahin pyas yahan jalte labon ki bin barse guzarti hai ghata us se na kahna bikhri thin kabhi rangaten us sune nagar mein ab 'sham' na khushbu na hawa us se na kahna