teri nazar ke ishaaron ko nind aai hai hayat-bakhsh sahaaron ko nind aai hai tere baghair tere intizar se thak kar shab-e-firaq ke maron ko nind aai hai sahar qarib hai arman udas dil gham-gin falak pe chand sitaron ko nind aai hai tere jamal se tabir the jo ulfat mein ab un hasin nazaron ko nind aai hai har ek mauj hai sakit yam-e-mohabbat ki mere baghair kinaron ko nind aai hai chaman mein zahmat-e-gulgasht aap farmaen ye sun raha hun bahaaron ko nind aai hai kaho ye saqi-e-sahba-nawaz se 'qaisar' phir aaj baada-gusaron ko nind aai hai