kis se karenge arz-e-tamanna kahen jise

kis se karenge arz-e-tamanna kahen jise
milta nahin hai koi bhi apna kahen jise

girti hui hayat ki diwar thamiye
lazim hai dard dil ka sahaara kahen jise

mai-khana-e-hayat mein bahti hai ju-e-khun
saqi tera taghaful-e-be-ja kahen jise

khun-e-jigar se bazm-e-tamanna hai lala-rang
mahrumiyan hain aur dil-e-shaida kahen jise

aabaad un ke jazb-e-mohabbat ke dam se hai
aql-o-dil-o-khayal ki duniya kahen jise

duniya ke hadsat se aasan guzar gae
kitna hasin hai wada-e-farda kahen jise

allah kya hain soz-e-tamanna ki inayat
mar mar ke un ki rah mein jina kahen jise

jab na-gahan mile to kiya wada-e-visal
ye iltifat hai ki bahana kahen jise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close