kis shaghl ko apnae aakhir tera saudai hansne mein bhi ruswai rone mein bhi ruswai arbab-e-mohabbat ke kya kya na sune tane rudad-e-dil-e-muztar lab par jo kabhi aai han teri tamanna ko hum dil se bhula denge jine ki koi surat zalim jo nikal aai is baat se kya hasil ye ahl-e-sukhan jaanen jis baat mein hoti hai gahrai na girai ab tere liye duniya hoti hai to ho dushman kanton se nahin darta phulon ka tamannai tum dair-o-kalisa hi dekho na haram 'nazim' aisa bhi bhala kya hai sauda-e-jabin-sai