khabar nahin ki abhi aur kya hai qismat mein sanbhal gaya hun jo gir ke rah-e-mohabbat mein shikayat-e-sitam-e-narawa ke ba'd na puchh unhen bhi dekh liya aalam-e-nadamat mein umid tujh se bhi tuti to kya hua ai dost meri to yun hi guzarti hai yas-o-hasrat mein chubha jo panw mein kanta to sair bhul gaya bade tapak se aaya tha bagh-e-ulfat mein yahin pe khatm nahin silsila jafaon ka abhi to aur sitam sahne hain mohabbat mein labon pe aah khalish dil mein aankh mein aansu kis ehtimam se jina pada mohabbat mein ab ehtiyat se is gul ki baat kar 'nazim' gae wo din ki zamana tha khwab-e-ghaflat mein