kis tarah aae teri bazm-e-tarab mein aaina hai nazar-band aaj-kal shahr-e-halab mein aaina hind se us tak jo le jae koi taswir-e-yar sharm se laila na dekhe phir arab mein aaina bazm mein bulwae jaldi ki ek muddat se hai ishtiyaq-e-zulf-o-khat-o-chashm-o-lab mein aaina naukri bhi ki to hairani faqat hum ko mili aarsi tankhwah mein pai talab mein aaina shaikh-sahab ta-kuja aaraish-e-resh-e-saped dekhiye shana bala mein hai ghazab mein aaina saqiya ye aaina hai tera mai-khana nahin hai har ek saghar kaf-e-bintul-anab mein aaina dekhne jata hai us ko tab-e-nazzara nahin sada-lauh us se hua mashhur sab mein aaina