kaun kah sakta hai ab un ko khata ke dhabbe ujli poshak mein phirte hain naha ke dhabbe ab bhi karta hun wo makhmal si hatheli mahsus ab bhi maujud hain daman pe hina ke dhabbe gham ke sahra se nikal aae the shayad kuchh log kitne chehron pe nazar aae hawa ke dhabbe is tarah log to pahchan liye jate kuchh kash mathon pe ubhar aaen dagha ke dhabbe rog baqi na raha mar gae rogi bhi sab rah gae aaj bhi daman pe dawa ke dhabbe is liye apni khata dekh na pae tum bhi dil ke shishe pe the 'afroz' ana ke dhabbe