kis tarah bhule tere alfaz-e-beja kya karun wahshaten ya hasraten jo bhi hain le ja kya karun dil hatheli pe rakha aur sath mein ek khat diya kuchh nahin baqi bacha hai kyun ye bheja kya karun har ghadi halkan rahna aur na sona raat bhar aur jo tanhai di thi wo bhi hai ja kya karun kab talak chal paegi ye ek tarfa zyaadti main bhi jaanun hun taghaful ja kahe ja kya karun mujh ko sunna hi nahin hai talkhiyon ka falsafa umr bhar to main ne tanha gham saheja kya karun