rah jo chalni hai us mein khubiyan koi nahin ruh apni chhod ke waqt-e-giran koi nahin dahr hai jalta hua aur pattharon ke aadmi chilchilati dhup hai aur aashiyan koi nahin aur kitna aazmana jo hua wo khub hai tum wahi ho hum wahi raaz-e-nihan koi nahin hai naya kuchh bhi nahin kyun is qadar hairan hue sath chalne ko tumhaare ai miyan koi nahin samne maqtal hua lo fikr se kharij hue bas yahi rasta hai jis ke darmiyan koi nahin