kis tarah chhod dun ai yar main chahat teri mere iman ka hasil hai mohabbat teri jaane kya baat hai jalwon mein tere jaan-e-jahan yaad aata hai khuda dekh ke surat teri ab nigahon mein jachega na koi rang-o-jamal meri aankhon ko pasand aa gai rangat teri apni qismat pe farishton ki tarah naz karun mujh pe ho jae agar chashm-e-inayat teri haram-o-dair ke jalwon se mujhe kya matlab shisha-e-dil mein utar aai hai surat teri aastane se tere sar na uthega mera muddaa ban ke mili hai mujhe nisbat teri main 'fana' ho ke pahunch jaunga tere dar tak rah dikhlane lagi mujh ko mohabbat teri