talab ki aag kisi shola-ru se raushan hai khayal ho ki nazar aarzu se raushan hai janam janam ke andheron ko de raha hai shikast wo ek charagh ki apne lahu se raushan hai kahin hujum-e-hawadis mein kho ke rah jata jamal-e-yar meri justuju se raushan hai ye tabish-e-lab-e-lalin ye shola-e-awaz tamam bazm teri guftugu se raushan hai visal-e-yar to mumkin nahin magar naseh rukh-e-hayat isi aarzu se raushan hai