kise apna banaen koi is qabil nahin milta yahan patthar bahut milte hain lekin dil nahin milta mohabbat ka sila isar ka hasil nahin milta wo nazren bar-ha milti hain lekin dil nahin milta tumhaara ruthna tamhid thi afsana-e-gham ki zamana ho gaya hum se mizaj-e-dil nahin milta jahan tak dekhta hun main jahan tak main ne samjha hai koi tere siwa tarif ke qabil nahin milta haram ki manzilen hon ya sanam-khane ki rahen hon khuda milta nahin jab tak maqam-e-dil nahin milta musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain wo maujen sar patakti hain jinhen sahil nahin milta hum apna gham liye baithe hain us bazm-e-tarab mein bhi kisi naghme se ab 'makhmur' saz-e-dil nahin milta