kahne wale kahte hain dasht mein pagal rahte hain chand bhi sun ke jalta hai chand se chehre hote hain tera hansna dekhen to mausam thahra karte hain zakhm lage hain phulon se jin ko pani dete hain aankhen meri sasti hain aansu tere mahnge hain us ke shahr ki barish mein phul baraste rahte hain ek nazar wo dekhen to hum aankhen padh lete hain chidiya tote mor aur wo mujh ko apne lagte hain un pe likkhe sher 'iqra' kuchh aur bhi achchhe hote hain