kise bulana tha aur kis ke pas jaana tha

kise bulana tha aur kis ke pas jaana tha
safar ka shauq tha so rasta banana tha

tumhaare dil mein koi der hum ruke to khula
tumhaare dil mein kisi aur ka thikana tha

tujhe to bhul bhi sakte the umr bhar ke liye
ye bebasi to mohabbat ka shakhsana tha

hamein to aakhiri cigarette ke aakhiri kash tak
khayal-e-yar ki chadar mein sar chhupana tha

tumhaare hath mein taswir thi purani si
hamare samne guzra hua zamana tha

bahaal kis tarah raunaq ho ujde aangan ki
tamam log the ghar mein to aashiyana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close