makan se la-makan tak aa gaya hun khayalon mein kahan tak aa gaya hun guzar kar main zawal-e-zindagi se uruj-e-dastan tak aa gaya hun tere honton ki jumbish kah rahi hai ki main teri zaban tak aa gaya hun wahan tak hai meri ab hukmrani tere andar jahan tak aa gaya hun guzarte waqt mein kuchh din thahar kar main umr-e-jawedan tak aa gaya hun dar-o-diwar tak wahshat-zada hain haqiqat mein guman tak aa gaya hun main apne aap se milne ki khatir hujum-e-dostan tak aa gaya hun palatna ab kahan mumkin hai 'asim' main khatre ke nishan tak aa gaya hun