kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath
ulajh raha hun abhi teri kaenat ke sath

main did-ban azal se jidhar bhi dekhta tha
shikasta jam pada hai ajaibaat ke sath

nikal gaya tha main ek roz khak-dan ki taraf
guzar rahi hai shab o roz hadsat ke sath

main dub dub gaya be-nishan bhanwar mein kahin
khala mein raqs-kunan ghumti praat ke sath

muhit-e-ab mein har sans dolti nayya
gham-e-wajud juda hai gham-e-hayat ke sath

wahi haram hai wahi but wahi pujari hain
wahi dilon ka talluq hai somnat ke sath

bikhar bikhar gaya ek mauj-e-raegan ki tarah
kisi ki jit ka nashsha kisi ki mat ke sath

khizan ki shaal mein lipte shajar pe parwane
numu ke git likhe rang-e-mumkinat ke sath

qadam qadam pe ulajhna wo be-sabab dil ka
hai ab to roz ka mamul panch sat ke sath

hazar talkh sahi phir bhi khush-nawa hai bahut
kisi charagh ka lahja siyah raat ke sath

suna hai mausam-e-be-rangi-e-zaman yaksar
badal gaya hai teri chashm-e-iltifat ke sath

main ab bhi mazi ki galiyon mein ja nikalta hun
padi hai tat pe takhti qalam dawat ke sath

bahut dinon wo raha hai isi khandar mein muqim
so rakh diya hai ye dil bhi nawadiraat ke sath

ye bastiyon pe ajab wahshaton ka mausam hai
numu-pazir hua hai taghayyuraat ke sath

main kunj-e-zat se nikla to yun hua ki 'ata'
kuchh aur phail gaya gham bhi shash-jahat ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close