kise hai lauh-e-waqt par dawam sochte rahe likhe hue the kaise kaise nam sochte rahe rah-e-hayat mein ruka hai kaun kitni der ko? musafiron ka waqfa-e-qayam sochte rahe kise khabar hai jalwa-gah-e-yar tak pahunchne ko siyah kitne padte hain maqam sochte rahe ujad ke dil basa nahin bichhad ke wo mila nahin azab hai ki hijr subh-o-sham sochte rahe abhi talak bashaaraton ki gunj hai khayal mein ye kaun khwab mein tha ham-kalam sochte rahe jo mila tha raste mein kya bataen kaun tha? wo yaad aa gaya to us ka nam sochte rahe kuchh aise be-khabar na the shikariyon ki chaal se jab aa gae tuyur zer-e-dam sochte rahe 'rashid' sari umr isi khayal mein guzar gai ki zalimon se lenge intiqam sochte rahe