mahsus ho raha hai ki duniya simat gai meri pasand kitne hi khanon mein bat gai tanhaiyon ki barf pighalti nahin hanuz wadon ke e'tibar ki bhi dhup chhat gai hum ne wafa nibhai badi tamkanat ke sath apne hi dam pe zinda rahe umr kat gai daur-e-khirad wo daur-e-khirad hai ki kya kahen qimat badhi hai fan ki magar qadr ghat gai 'sarwat' har ek rut mein lapete rahi jise wo na-murad aas ki chadar bhi phat gai