kise khabar thi ki is ko bhi tut jaana tha hamara aap se rishta bahut purana tha hum apne shahr se ho kar udas aae the tumhaare shahr se ho kar udas jaana tha sada lagai magar koi bhi nahin palta har ek shakhs na jaane kahan rawana tha yun chup hua ki phir aanhken hi dabdaba utthin na jaane us ko abhi aur kya batana tha kise padi thi mera haal puchhta mujh se mujhe to rasm nibhani thi muskurana tha bhanak na jaane ye kaise lagi hawaon ko ki mujh ko rahguzar par diya jalana tha chhupi thi is mein hi tamhid bhi judai ki hamara aap se milna to ek bahana tha tujhe khabar hi nahin mere jitne wale tere liye to hamesha hi haar jaana tha nigah-e-shauq se yun ghair ko tera takna 'nawaz' aur nahin kuchh mujhe satana tha