aks-e-rukh-e-gulgun se tamasha nazar aaya aaina unhin phulon ka duna nazar aaya khubi mein do-baala wo sarapa nazar aaya pur-nur badan paikar-e-jauza nazar aaya dil khush guhron ka hamein sahra nazar aaya kya gard-e-yatimi ka bagula nazar aaya nairangi-e-hairat se rawan rahte hain aansu taswir ka dariya hamein bahta nazar aaya nikla jo hawa-war mein wo rashk-e-sulaiman udta su-e-aflak farishta nazar aaya baalida hai har shisha-e-mai ab ki yahan tak ek ek falak pamba-e-mina nazar aaya khilat mujhe wahshat ne diya wusat-e-dil ka jame mein mere daman-e-sahra nazar aaya nazron mein ye chhaya hai ghubar-e-dil-e-wahshi har aankh mein aansu mujhe dhela nazar aaya wo aaina-sima hai dil-e-sakht-adu mein botal mein utarte hue shisha nazar aaya aashiq tere palkon ka hua zinda-e-jawed suli ka kharidar masiha nazar aaya zahid ne bhi aqd aaj kiya bint-e-inab se juft-e-bat-e-mai murgh-e-musalla nazar aaya bargashta-nasibi-e-sadaf-e-dil ki kahun kya moti ke ewaz is mein phaphula nazar aaya aaina-e-geti mein wahi aks hai har su hum ne jidhar us shokh ko dekha nazar aaya karte ho mere paikar-e-wahmi ko nishana nawak mein tumhaare par-e-anqa nazar aaya us but ke nahane se hua saf ye pani moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya us hur ki rangat udi rone se hamare rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya shisha mai-e-gulgun ka unhen madd-e-nazar hai tegh-e-nigah-e-mast mein chhaala nazar aaya ho jaenge sab koh-e-jahan sang-e-falakhan wahshat mein jo aalam tah-o-baala nazar aaya shamen jo bujhin bazm-e-tilismat ko dekha aankhen jo huin band to kya kya nazar aaya kyun khush na ho til baith ke mizan-e-falak mein mauzun-e-qad-e-yar ka palla nazar aaya mil mil gae hain khak mein lakhon dil-e-raushan har zarra mujhe arsh ka tara nazar aaya aankhon mein khatakti hai yahi daulat-e-duniya har sikke ki machhli mein bhi kanta nazar aaya hai bud-e-jahan naqsh sar-e-ab nazar mein ye khel hamein ban ke bigadta nazar aaya hairat-kada-e-dahr hua mujh se mukaddar aaina-e-ijad mein dhabba nazar aaya khush aate nahin dant kisi hur ke mujh ko chaak-e-gul-e-firdaus mein bakhiya nazar aaya muddat se nazar-dokhta rahte hain giraftar gesu ki bhi zanjir mein tanka nazar aaya champa-kali us mast-e-mai-e-husn ki dekhi gardan ki surahi ka ye mina nazar aaya madfun hua zer-e-zamin aap ka laghar chashm-e-lahad-e-tang mein jala nazar aaya kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat har kothi mein har bangle mein jangla nazar aaya