kise khabar thi labon se hansi bhi chhinega zamana hum se hamari khushi bhi chhinega sahaara kaun gharibon ko dost deta hai gharib ki to koi jhonpadi bhi chhinega usi ke dam se hai qaem nizam sanson ka ye zindagi hai usi ki kabhi bhi chhinega ye baat sun ke tajjub sa ho raha hai hamein kabhi kisi ki koi zindagi bhi chhinega laga de shauq se koi qalam pe pabandi hai kis mein dam jo meri shairi bhi chhinega hai sadgi to azal se hi meri fitrat mein wo kaun hai jo meri sadgi bhi chhinega chaman mein shoala jo nafrat ka uth raha hai yahan hansi gulon ki wahi tazgi bhi chhinega andhere jis ko muqaddar ne de diye hain 'mukesh' wo sochta hai meri raushni bhi chhinega