hum ne teri khatir se dil-e-zar bhi chhoda tu bhi na hua yar aur ek yar bhi chhoda kya hoga rafugar se rafu mera gareban ai dast-e-junun tu ne nahin tar bhi chhoda din de ke gaya kufr ke bhi kaam se aashiq tasbih ke sath us ne to zunnar bhi chhoda goshe mein teri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khana-e-khummar bhi chhoda is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo mara to na zardar bhi chhoda tedhe na ho hum se rakho ikhlas to sidha tum pyar se rukte ho to lo pyar bhi chhoda kya chhoden asiran-e-mohabbat ko wo jis ne sadqe mein na ek murgh-e-giraftar bhi chhoda pahunchi meri ruswai ki kyunkar khabar us ko us shokh ne to dekhna akhbar bhi chhoda karta tha jo yan aane ka jhuta kabhi iqrar muddat se 'zafar' us ne wo iqrar bhi chhoda