kise nadan samjhane gae hain 'wasi' sahib to maikhane gae hain jo patthar hai yahan ka surkh-ru hai inhin rahon se diwane gae hain wafa-keshi riwayat ban chuki hai wo ab kis par sitam dhane gae hain samundar par raha jin ka tasarruf wahi pyason ko bahlane gae hain 'wasi' pahuncha na bazm-e-gul-rukhan tak suna hai us ke afsane gae hain