kise shuur hai yun zakhm-e-dil dikhane ka kahin na dekhoge ye rang muskurane ka mera lahu hai nigar-e-hayat ki mehndi mujhe dimagh kahan ashk-e-khun bahane ka nashat-e-gham hi to is zindagi ka hasil hai agar ho dil mein saliqa ye lutf pane ka qafas mein jalwa-e-gul ka bhi ehtimam sahi magar wo aalam-e-azad aashiyane ka jo zarra hai wo dhadakta hua sa ek dil hai ye kaenat tassur hai kis tarane ka sitaron mein hi tarannum shagufon mein gulbang kahan nahin hai fusun un ke gungunane ka mera sukhan hai manar un ke husn ka 'kaukab' hila sakega na tufan kisi zamane ka