kisht-e-dayar-e-subh se tare ugaun main ji chahta hai nit-nae manzar dikhaun main wo shakhs chikhta hua amboh ban chuka kis kis ko bolne dun kise chup karaun main ab to hansi bhi khatm hai afsurdagi bhi khatm lab-basta-e-azal tujhe kitna hansaun main ek khwab misl-e-ashk nikal aae chashm se darwaza-e-guman jo kabhi khatkhataun main tu aa chuka hai dekh liya man bhi liya ab aur kya karun tujhe sar par bithaun main kya farq pad sakega andhere ki sharh mein kuchh der raushni se agar bhar bhi jaun main khamosh rah ki phir teri aawaz sun sakun nazron se dur ja ki tujhe dekh paun main aaine is tarah mujhe takta hai kis liye pahchan bhi liya ki taaruf karaun main 'shaariq' har ek shakl se milti hai koi shakl aakhir badan pe kaun sa chehra lagaun main