kisht-e-ummid barwar na hui lakh suraj uge sahar na hui hum musafir the dhup ke hum se naz-bardari-e-shajar na hui mujh ko afsos hai ki teri taraf sab ne dekha meri nazar na hui ghar ki taqsim ke siwa ab tak koi taqrib mere ghar na hui nam mera to tha sar-e-fihrist ittifaqan mujhe khabar na hui jaane kya apna haal kar leta khair guzri use khabar na hui