nikal kar halqa-e-ahl-e-asar se bhag jaun main kai din se ye khwahish hai ki ghar se bhag jaun main zara himmat kare ye dil to shayad dusre pal mein chhuda kar jaan dast-e-chaara-gar se bhag jaun main abhi raste mein hain kuchh jaane-pahchane hue chehre hirasan ho ke kyon gard-e-safar se bhag jaun main chalo yunhi sahi ab ke ziyaada barishen hongi to kya apne shikasta baam-o-dar se bhag jaun main chalo yunhi sahi ab ke nishane par faqat hun main to kya munh pher kar un ki nazar se bhag jaun main kahan wo aankh ki is baam se aage bhi kuchh dekhun kahan wo panw ki is rahguzar se bhag jaun main