kisi aarzi khushi ka ba-khushi shikar hota mujhe gham ki azmaton par jo na e'tibar hota ye farogh-e-dasht-o-sahra hai shikast-e-gulistan se na gulon ka rang udta na kahin ghubar hota mere nakhl-e-zindagi ne kai rukh hawa ke dekhe koi rut kabhi na aati to sada bahaar hota teri yaad agar na hoti to hayat ka safina na ubur sham karta na sahar ke par hota meri azmat-e-wafa se wo kabhi shikast kha kar mera azm chhin lete agar ikhtiyar hota tar-o-taza yun na rahte kabhi phul mehr-o-mah ke chaman jahan ka mausam jo na khush-gawar hota tha agarche muntazir main agar aap aa bhi jate to tamam umr apna mujhe intizar hota jo na tut tut jata tere jabr ka tasalsul nazar ehtijaj karti na nafas pukar hota mere maslak-e-wafa mein teri did thi ibaadat jo nazar na tujh pe padti main gunahgar hota mera ashk-e-khun hai nazish mere tajarbe ka hasil jo wufur-e-gham mein hansta to ye shahkar hota