main ek kashakash-e-ummid-o-bim tak pahuncha

main ek kashakash-e-ummid-o-bim tak pahuncha
kabhi tapish kabhi mauj-e-nasim tak pahuncha

har ek gam pe tahqiq chahti thi khirad
bhatak gaya to rah-e-mustaqim tak pahuncha

meri nigah ne dil mein tere utar diya
wo lafz jo na zaban-e-kalim tak pahuncha

tumhaari yaad ne mazi ka rup dohraya
ye saz-e-nau bhi nawa-e-qadim tak pahuncha

liye charagh-e-shanasai main jidhar bhi gaya
mughairat ke dayar-e-azim tak pahuncha

payam ban ke meri zindagi ki jaanib se
nafas nafas mere dil ke muqim tak pahuncha

khushi wo lafz ki guzra jo manawiyyat se
to mere gham ki kitab-e-zakhim tak pahuncha

mere shuur mein shamil raha talab ka junun
main shahr-e-gul mein jo pahuncha shamim tak pahuncha

jo barqarar salamat-rawi rahi 'nazish'
koi harif na tab-e-salim tak pahuncha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close