kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai jo ulfat ek diwane ko diwane se hoti hai subu se jam se mina se paimane se hoti hai mohabbat mai se ho kar sare mai-khane se hoti hai koi qissa ho koi waqia koi hikayat ho tasalli dil ko dard-e-dil ke afsane se hoti hai meri tauba se kah do wo bhi aa kar shauq se sun le ajab aawaz paida dal ke paimane se hoti hai nazar se chhupne wale dil se aakhir kyun nahin chhupte ye kaisi be-hijabi aaina-khane se hoti hai bahaar-e-chand-roza se koi mange to kya mange khizan ko bhi nadamat hath phailane se hoti hai ghataen gham ki chhat jati hain un ke muskurane se ki jaise subh paida raat dhal jaane se hoti hai 'figar' ehsas-e-dil mein har taraf kante hi kante hain yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai